Koun hun mai, Kya hun main,
isi bat se pareshan hun main.
Na samjhi hun na samjh paungi main,
isi uljhan me sulag jaungi main.
Ek dhool hun main ya ek dewar hun main,
isi khoj main gumnaam hun main.
Koun hun main kya hun main,
isi bat se heiran hun main.
phool hun main ya ashiyan hun main,
isi soch me badnaam hun main.
Koun hun main kya hun main,
isi soch se pareshan hun main.
Hosh hun main ya madhosh hun main,
isi shor me khamosh hun main.
Koun hun main, kya hun main,
isi bat se pareshan hun main.
Tum hun main ya main hun main,
isi raaj se anjaan hun main.
aaj hun main ya kal hun,
is wakt ki dastaan hun main.
koun hun main kya hun main,
isi bat se pareshan hun main.
na samjhi hun na samjh paungi main,
isi bheed me simat jaungi main.
Hakikat hun ya khwab hun main,
is ahsaas se ajaad hun main.
Shokh hun main ya shool hun main,
is parwah se bahut door hun main.
Koun hun main kya hun main,
isi bat se pareshan hun main.
Na samjhi hun na samjh paungi main,
is uljhan main sulag jaungi main.
+Wallpapers+8.jpg)
